mayassar KHwab hi mein aap ka didar ho jae
mayassar ḳhvāb hī meñ aap kā dīdār ho jaa.e
kisī sūrat to ye qismat mirī bedār ho jaa.e
karam-farmā ḳhizāñ pe gar nigāh-e-yār ho jaa.e
to jo hai ḳhaar gul ban kar gale kā haar ho jaa.e
dikhā de vo jamāl apnā kisī sūrat jo duniyā ko
to duniyā mahv ho kar mutlaqan bekār ho jaa.e
ye hastī merī un ke darmiyāñ ik hadd-e-fāsil hai
ye hastī merī miT jaa.e to vasl-e-yār ho jaa.e
jise sab sham.a kahte haiñ abhī ban jaa.e parvāna
mohabbat kā sar-e-mahfil agar iz.hār ho jaa.e
agar yūsuf hamārā misr meñ aa jaa.e be-parda
nayā ik aur qaa.em husn kā bāzār ho jaa.e
bahāreñ un kī āñkhoñ ke ishāroñ meñ gul-afshāñ haiñ
zarā vo dekh bhī leñ to ḳhizāñ gulzār ho jaa.e
ḳhatā kar kar ke halkā kar rahā huuñ daftar-e-qismat
ḳhatā gar ho na sarzad to ḳhatā kā baar ho jaa.e
shahādat kī talab meñ surḳh-rū ḳhud ko maiñ jab samjhūñ
lahū-ālūd ai qātil tirī talvār ho jaa.e
hai tūfān-e-nadāmat aur kashtī mere isyāñ kī
jo terā lutf ho jaa.e to beḌā paar ho jaa.e
'umar' jo kuchh vo deñ le lo ba-sad-shukr-o-niyāz un se
kahīñ aisā na ho iqrār se inkār ho jaa.e
mayassar KHwab hi mein aap ka didar ho jae
kisi surat to ye qismat meri bedar ho jae
karam-farma KHizan pe gar nigah-e-yar ho jae
to jo hai KHar gul ban kar gale ka haar ho jae
dikha de wo jamal apna kisi surat jo duniya ko
to duniya mahw ho kar mutlaqan bekar ho jae
ye hasti meri un ke darmiyan ek hadd-e-fasil hai
ye hasti meri miT jae to wasl-e-yar ho jae
jise sab shama kahte hain abhi ban jae parwana
mohabbat ka sar-e-mahfil agar izhaar ho jae
agar yusuf hamara misr mein aa jae be-parda
naya ek aur qaem husn ka bazar ho jae
bahaaren un ki aankhon ke ishaaron mein gul-afshan hain
zara wo dekh bhi len to KHizan gulzar ho jae
KHata kar kar ke halka kar raha hun daftar-e-qismat
KHata gar ho na sarzad to KHata ka bar ho jae
shahadat ki talab mein surKH-ru KHud ko main jab samjhun
lahu-alud ai qatil teri talwar ho jae
hai tufan-e-nadamat aur kashti mere isyan ki
jo tera lutf ho jae to beDa par ho jae
'umar' jo kuchh wo den le lo ba-sad-shukr-o-niyaz un se
kahin aisa na ho iqrar se inkar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.