maza shabab ka jab hai ki ba-KHuda bhi rahe
maza shabāb kā jab hai ki bā-ḳhudā bhī rahe
butoñ ke saath rahe aur pārsā bhī rahe
mazāq-e-husn-parastī qubūl hai mujh ko
agar nigāh haqīqat se āshnā bhī rahe
nizām-e-dahr judā kar rahā hai donoñ ko
maiñ chāhtā huuñ kalī bhī rahe sabā bhī rahe
kahāñ se jaan bache jab vo shoḳh-e-sehr-nigāh
jafā-shi.ār bhī ho mā.il-e-vafā bhī rahe
mujhe milā hai vo rañgīn-adā muqaddar se
jo dil meñ jalva-numā bhī rahe chhupā bhī rahe
chaman-parast vahī hai jis kā zauq-e-salīm
guloñ ke saa.e meñ kāñToñ se kheltā bhī rahe
vo riñd-e-pāk-tabī.at hai aap kā 'shā.ir'
sharāb bhī na piye aur jhūmtā bhī rahe
maza shabab ka jab hai ki ba-KHuda bhi rahe
buton ke sath rahe aur parsa bhi rahe
mazaq-e-husn-parasti qubul hai mujh ko
agar nigah haqiqat se aashna bhi rahe
nizam-e-dahr juda kar raha hai donon ko
main chahta hun kali bhi rahe saba bhi rahe
kahan se jaan bache jab wo shoKH-e-sehr-nigah
jafa-shiar bhi ho mail-e-wafa bhi rahe
mujhe mila hai wo rangin-ada muqaddar se
jo dil mein jalwa-numa bhi rahe chhupa bhi rahe
chaman-parast wahi hai jis ka zauq-e-salim
gulon ke sae mein kanTon se khelta bhi rahe
wo rind-e-pak-tabiat hai aap ka 'shair'
sharab bhi na piye aur jhumta bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.