maza to jab hai gham-e-ishq aashkar na ho
maza to jab hai ġham-e-ishq āshkār na ho
jigar pe choT lage aur be-qarār na ho
ye dil pasand na kar dekh dāġh-dār na ho
ise na toḌ mohabbat kī yādgār na ho
zarā sañbhal ke mire hāl-e-dil ko suniyegā
mirī zabāñ kahīñ shamshīr-e-āb-dār na ho
hue haiñ merī taraf se vo bad-gumāñ aise
maiñ dil bhī chiir ke rakh duuñ to e.atibār na ho
ḳhafā na ho to batā duuñ vo raaz kī bāteñ
kuchh aur yaad dilā duuñ jo nāgavār na ho
huā huuñ gum to zamāna talāsh kartā hai
rahūñ sharīk to merā koī shumār na ho
paḌā huā hai tire dar pe is liye 'ejāz'
kahīñ talāsh kī zahmat na ho pukār na ho
maza to jab hai gham-e-ishq aashkar na ho
jigar pe choT lage aur be-qarar na ho
ye dil pasand na kar dekh dagh-dar na ho
ise na toD mohabbat ki yaadgar na ho
zara sanbhal ke mere haal-e-dil ko suniyega
meri zaban kahin shamshir-e-ab-dar na ho
hue hain meri taraf se wo bad-guman aise
main dil bhi chir ke rakh dun to eatibar na ho
KHafa na ho to bata dun wo raaz ki baaten
kuchh aur yaad dila dun jo nagawar na ho
hua hun gum to zamana talash karta hai
rahun sharik to mera koi shumar na ho
paDa hua hai tere dar pe is liye 'ejaz'
kahin talash ki zahmat na ho pukar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.