maza aata nahin ai dil hamein ab muskurane mein
maza aata nahin ai dil hamein ab muskurane mein
Fakhruddin Ghauri Faiz
MORE BYFakhruddin Ghauri Faiz
mazā aatā nahīñ ai dil hameñ ab muskurāne meñ
burā jo kuchh huā achchhā hai us ko bhuul jaane meñ
koī to ho zamāne meñ ġhamoñ ko bāñTne vaalā
nahīñ achchhā har ik ko hāl-e-dil apnā sunāne meñ
banī hai dahr meñ a.amāl se jab zindagī apnī
guzāro zindagī duniyā meñ ab tum bhī banāne meñ
zarā mehnat kareñ to māl-o-zar mil jā.eñge lekin
sukūn-o-chain milnā hai bahut mushkil zamāne meñ
kisī ke sāmne maiñ haath phailā.ūñ bhalā kyūñkar
kamī hai kyā kisī bhī chiiz kī rab ke ḳhazāne meñ
jahāñ meñ har-qadam par imtihān-e-sabr-o-īmāñ hai
magar sīna-sipar ham bhī haiñ īmāñ ko bachāne meñ
falāh-e-ādmiyyat hai yaqīnan muttahid rahnā
baḌā nuqsān hai dekho uḳhuvvat bhuul jaane meñ
hamāre jān-o-īmāñ haiñ amānat rab ta'ālā kī
baḌī be-ābrūī hai inheñ yūñhī luTāne meñ
sukūñ se baiTh kar yaaro karo tum chain kī bāteñ
sañbhaltā 'faiz' kab ye dil hai aise aane jaane meñ
maza aata nahin ai dil hamein ab muskurane mein
bura jo kuchh hua achchha hai us ko bhul jaane mein
koi to ho zamane mein ghamon ko banTne wala
nahin achchha har ek ko haal-e-dil apna sunane mein
bani hai dahr mein aamal se jab zindagi apni
guzaro zindagi duniya mein ab tum bhi banane mein
zara mehnat karen to mal-o-zar mil jaenge lekin
sukun-o-chain milna hai bahut mushkil zamane mein
kisi ke samne main hath phailaun bhala kyunkar
kami hai kya kisi bhi chiz ki rab ke KHazane mein
jahan mein har-qadam par imtihan-e-sabr-o-iman hai
magar sina-sipar hum bhi hain iman ko bachane mein
falah-e-admiyyat hai yaqinan muttahid rahna
baDa nuqsan hai dekho uKHuwwat bhul jaane mein
hamare jaan-o-iman hain amanat rab ta'ala ki
baDi be-abrui hai inhen yunhi luTane mein
sukun se baiTh kar yaro karo tum chain ki baaten
sanbhalta 'faiz' kab ye dil hai aise aane jaane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.