maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale
mazā jab hai use barq-e-tajallā dekhne vaale
jamāl-e-yār meñ tahlīl ho jā dekhne vaale
nazar aatī tujhe har ḳhaak ke zarre meñ ik duniyā
nigāh-e-ġhaur se tū ne na dekhā dekhne vaale
tujhe nazdīk se bhī ek din vo dekh hī leñge
tasavvur meñ tirā husn-e-dil-ārā dekhne vaale
ḳhabar bhī hai tujhe kuchh ye tamāsha-gāh-e-ālam hai
tamāsha ḳhud na ban jaanā tamāsha dekhne vaale
harīm-e-tūr kā 'sīmāb' jab uThne lagā parda
nidā ye ġhaib se aa.ī sambhal jā dekhne vaale
maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale
jamal-e-yar mein tahlil ho ja dekhne wale
nazar aati tujhe har KHak ke zarre mein ek duniya
nigah-e-ghaur se tu ne na dekha dekhne wale
tujhe nazdik se bhi ek din wo dekh hi lenge
tasawwur mein tera husn-e-dil-ara dekhne wale
KHabar bhi hai tujhe kuchh ye tamasha-gah-e-alam hai
tamasha KHud na ban jaana tamasha dekhne wale
harim-e-tur ka 'simab' jab uThne laga parda
nida ye ghaib se aai sambhal ja dekhne wale
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 182)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.