maza na puchh jo KHud-saKHta fusun mein hai
mazā na pūchh jo ḳhud-sāḳhta fusūñ meñ hai
tū mere paas nahīñ aur dil sukūñ meñ hai
usī ne ḳhuun nichoḌā bahut rag-o-pai se
jise patā thā mohabbat hamāre ḳhuuñ meñ hai
tabhī to aa.ī nahīñ aaj tak qayāmat bhī
vo jāntā hai abhī aadmī junūñ meñ hai
jo be-ḳhayālī meñ kahte ho baat karte hue
maiñ sach kahūñ mirī duniyā us ek huuñ meñ hai
fasīl-e-jism salāmat hai siina chaak nahīñ
dikhā.eñ kaise tumheñ dard jo darūñ meñ hai
maza na puchh jo KHud-saKHta fusun mein hai
tu mere pas nahin aur dil sukun mein hai
usi ne KHun nichoDa bahut rag-o-pai se
jise pata tha mohabbat hamare KHun mein hai
tabhi to aai nahin aaj tak qayamat bhi
wo jaanta hai abhi aadmi junun mein hai
jo be-KHayali mein kahte ho baat karte hue
main sach kahun meri duniya us ek hun mein hai
fasil-e-jism salamat hai sina chaak nahin
dikhaen kaise tumhein dard jo darun mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.