maze kya kya hain gumrahi mein ye puchho mere dil se
maze kyā kyā haiñ gumrāhī meñ ye pūchho mire dil se
junūn-e-shauq meñ hai be-niyāzī mujh ko manzil se
na ghabrā ai musāfir jāda-e-tārīk-e-manzil se
milegī raushnī āḳhir charāġh-e-shauq-e-kāmil se
idhar dariyā-e-tufāñ-ḳhez meñ paiham huuñ maiñ ġhaltāñ
udhar baiThe tamāshā dekhte haiñ log sāhil se
nigāh-e-shauq itnā gudgudā de un ke jalve ko
ki vo ḳhud bā-ḳhabar ho jaa.eñ rāh-o-rasm-e-manzil se
shafaq ke surḳh pardoñ se hai māh-e-nau ziyā gustar
ki lailā jhāñktī hai parda-e-rangīn-e-mahmil se
agar un kī nazar rūThī manānā kab hai sahl us ko
girah paḌtī hai āsānī se par khultī hai mushkil se
ilāhī ḳhair kashtī kheltī hai merī tūfāñ meñ
kabhī maujoñ ke dāman se kabhī dāmān-e-sāhil se
talātum-ḳhez maujoñ ne ye kaisā kar diyā jaadū
safīna bhāgtā hai ḳhud mirā dāmān-e-sāhil se
mirī TuuTī huī kashtī kī barbādī muqaddar thī
bachī girdāb se Takrā ga.ī dāmān-e-sāhil se
abhī to aa ke baiThe ho zarā Thahro zarā bolo
nigāhoñ se nigāheñ mil chukīñ dil bhī mile dil se
'valī' bahr-e-ḳhudā zahmat na de ab mujh ko shirkat kī
ki dil hī sard hai sher-o-suḳhan kī sard mahfil se
maze kya kya hain gumrahi mein ye puchho mere dil se
junun-e-shauq mein hai be-niyazi mujh ko manzil se
na ghabra ai musafir jada-e-tarik-e-manzil se
milegi raushni aaKHir charagh-e-shauq-e-kaamil se
idhar dariya-e-tufan-KHez mein paiham hun main ghaltan
udhar baiThe tamasha dekhte hain log sahil se
nigah-e-shauq itna gudguda de un ke jalwe ko
ki wo KHud ba-KHabar ho jaen rah-o-rasm-e-manzil se
shafaq ke surKH pardon se hai mah-e-nau ziya gustar
ki laila jhankti hai parda-e-rangin-e-mahmil se
agar un ki nazar ruThi manana kab hai sahl us ko
girah paDti hai aasani se par khulti hai mushkil se
ilahi KHair kashti khelti hai meri tufan mein
kabhi maujon ke daman se kabhi daman-e-sahil se
talatum-KHez maujon ne ye kaisa kar diya jadu
safina bhagta hai KHud mera daman-e-sahil se
meri TuTi hui kashti ki barbaadi muqaddar thi
bachi girdab se Takra gai daman-e-sahil se
abhi to aa ke baiThe ho zara Thahro zara bolo
nigahon se nigahen mil chukin dil bhi mile dil se
'wali' bahr-e-KHuda zahmat na de ab mujh ko shirkat ki
ki dil hi sard hai sher-o-suKHan ki sard mahfil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.