maze se dekh raha hai ye sab gagan wala
maze se dekh rahā hai ye sab gagan vaalā
pahāḌ Dhotā hai nāzuk sā ik badan vaalā
jahāñ bhī miltā hai phūloñ kā zikr kartā hai
lo aa rahā hai milo is se ik chaman vaalā
hue haiñ ham bhī ġhanī us kī is adā se aaj
luTā rahā hai tabassum vo ḳhush-dahan vaalā
baḳhīl hone ke charche the chaar sū us ke
magar vo shahr meñ thā is bahut hī dhan vaalā
use ye sun ke baḌā hī ajiib lagtā hai
mujhe milā hai jahāñ meñ shafīq man vaalā
nagar nagar se huā tang jab to āḳhir-kār
usī fazā meñ gayā lauT kar vo ban vaalā
hamārā ḳhuun bhī miltā hai us se chehra bhī
vo chāhe chiin kā ho yā vo ho yaman vaalā
ḳhushī se jhūmne lagtā thā dil 'nazar' merā
dayār-e-ġhair meñ jab bhī milā vatan vaalā
maze se dekh raha hai ye sab gagan wala
pahaD Dhota hai nazuk sa ek badan wala
jahan bhi milta hai phulon ka zikr karta hai
lo aa raha hai milo is se ek chaman wala
hue hain hum bhi ghani us ki is ada se aaj
luTa raha hai tabassum wo KHush-dahan wala
baKHil hone ke charche the chaar su us ke
magar wo shahr mein tha is bahut hi dhan wala
use ye sun ke baDa hi ajib lagta hai
mujhe mila hai jahan mein shafiq man wala
nagar nagar se hua tang jab to aaKHir-kar
usi faza mein gaya lauT kar wo ban wala
hamara KHun bhi milta hai us se chehra bhi
wo chahe chin ka ho ya wo ho yaman wala
KHushi se jhumne lagta tha dil 'nazar' mera
dayar-e-ghair mein jab bhi mila watan wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.