mazhab ki kitabon mein bhi irshad hua main
maz.hab kī kitāboñ meñ bhī irshād huā maiñ
duniyā tirī ta.amīr meñ buniyād huā meñ
sayyād samajhtā thā rihā ho na sakūñgā
hāthoñ kī naseñ kaaT ke āzād huā maiñ
uryāñ hai mire shahr meñ tahzīb kī devī
mandir kā pujārī thā so barbād huā maiñ
mazmūn se likhtā huuñ ka.ī dūsre mazmūñ
duniyā ye samajhtī hai ki naqqād huā maiñ
har shaḳhs hiqārat se mujhe dekh rahā hai
jaise kisī mazlūm kī fariyād huā maiñ
mazhab ki kitabon mein bhi irshad hua main
duniya teri tamir mein buniyaad hua mein
sayyaad samajhta tha riha ho na sakunga
hathon ki nasen kaT ke aazad hua main
uryan hai mere shahr mein tahzib ki dewi
mandir ka pujari tha so barbaad hua main
mazmun se likhta hun kai dusre mazmun
duniya ye samajhti hai ki naqqad hua main
har shaKHs hiqarat se mujhe dekh raha hai
jaise kisi mazlum ki fariyaad hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.