mazhaka aao uDaen ishq-e-be-buniyaad ka
maz.haka aao uḌā.eñ ishq-e-be-buniyād kā
ik judā madfan banā.eñ tesha-e-farhād kā
vāh-vāh kyā rang badlā gulshan-e-ījād kā
sāya-e-gul par gumāñ hone lagā sayyād kā
bah chalā hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yās
ye bhī ik daana hai mere ḳhirman-e-barbād kā
kis nigāh-e-garm se dekhā hai us ne vaqt qatl
aah ThanDī paḌ ga.ī dam ghuT gayā fariyād kā
ġhuncha ġhuncha ḳhauf se mujh ko nazar aayā qafas
patte patte par huā dhokā kaf-e-saiyād kā
ye samajh liije kisī shā'ir ke dil kā TūTnā
TuuT jaanā hai tilism-e-ālam-e-ījād kā
ho na ehsās-e-asīrī to rihā.ī hai muhāl
aise qaidī naam tak lete nahīñ mī'ād kā
zo'f kī ye himmateñ haiñ nā-tavānī kā ye zor
TukḌe TukḌe kar diyā dāman mirī fariyād kā
us suḳhanvar se mujhe faiz-e-suḳhan hai ai 'hafīz'
nām-e-nāmī hai girāmī jis jahāñ ustād kā
mazhaka aao uDaen ishq-e-be-buniyaad ka
ek juda madfan banaen tesha-e-farhad ka
wah-wah kya rang badla gulshan-e-ijad ka
saya-e-gul par guman hone laga sayyaad ka
bah chala hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yas
ye bhi ek dana hai mere KHirman-e-barbaad ka
kis nigah-e-garm se dekha hai us ne waqt qatl
aah ThanDi paD gai dam ghuT gaya fariyaad ka
ghuncha ghuncha KHauf se mujh ko nazar aaya qafas
patte patte par hua dhoka kaf-e-saiyaad ka
ye samajh lije kisi sha'ir ke dil ka TuTna
TuT jaana hai tilism-e-alam-e-ijad ka
ho na ehsas-e-asiri to rihai hai muhaal
aise qaidi nam tak lete nahin mi'ad ka
zo'f ki ye himmaten hain na-tawani ka ye zor
TukDe TukDe kar diya daman meri fariyaad ka
us suKHanwar se mujhe faiz-e-suKHan hai ai 'hafiz'
nam-e-nami hai girami jis jahan ustad ka
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.