mazmun achhuta bhi ho ashaar nae hon
mazmūn achhūtā bhī ho ash.ār na.e hoñ
ho baat ġhazal meñ na.ī afkār na.e hoñ
kaliyāñ bhī na.ī phuul na.e ḳhaar na.e hoñ
nazroñ kā taqāza hai ki gulzār na.e hoñ
phir aa ke zarā kījiye tajdīd-e-mohabbat
dil kī ye tamanna hai ki āzār na.e hoñ
is tarah se tartīb do ab sāz-e-mohabbat
kuchh taar purāne bhī hoñ kuchh taar na.e hoñ
mazmūn bahut hī hai purānā tirā shā.ir
aur vaqt ye kahtā hai ki afkār na.e hoñ
mai-ḳhāne kī har shai ko badal dījiye 'tishna'
saaqī bhī mai-o-jām bhī mai-ḳhvār na.e hoñ
mazmun achhuta bhi ho ashaar nae hon
ho baat ghazal mein nai afkar nae hon
kaliyan bhi nai phul nae KHar nae hon
nazron ka taqaza hai ki gulzar nae hon
phir aa ke zara kijiye tajdid-e-mohabbat
dil ki ye tamanna hai ki aazar nae hon
is tarah se tartib do ab saz-e-mohabbat
kuchh tar purane bhi hon kuchh tar nae hon
mazmun bahut hi hai purana tera shair
aur waqt ye kahta hai ki afkar nae hon
mai-KHane ki har shai ko badal dijiye 'tishna'
saqi bhi mai-o-jam bhi mai-KHwar nae hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.