mazmun nahin hai saf nau-ahang-e-raaz hai
mazmūñ nahīñ hai saaf nau-āhang-e-rāz hai
har harf sher kā lab-e-ḳhāmosh saaz hai
maiñ aap kī lagā.e huuñ apne jigar meñ aag
siine meñ varna soz na dil meñ gudāz hai
ik be-ḳhudī ne Daalī haiñ lākhoñ hī gutthiyāñ
jo baat hai vo bhed hai jo shai hai raaz hai
vaañ husn se bane haiñ vo ik paikar-e-jamāl
yaañ ik muraqqā hasrat-e-nazzāra-bāz hai
vo haiñ ki baat hī nahīñ sunte ġharīb kī
maiñ huuñ ki daftar-e-gila-hā-e-darāz hai
pahle thā sar meñ hubb-e-vatan kā mire junūñ
ab ḳhabt-e-yāva-goī-e-dūr-o-darāz hai
achchhā hai vo shabāb ki kuchh sūjhtā na thā
ab har qadam pe ḳhauf-e-nasheb-o-farāz hai
ik silsila hai nā-mutanāhī ḳhayāl bhī
jitnā darāz kījiye is ko darāz hai
har vaqt kashmakash meñ haiñ ummīd-o-bīm ke
ahmaq haiñ jin ko ḳhvāhish-e-umr-e-darāz hai
ik aañkh ḳhauf-e-tīrgī-e-qabr meñ hai band
aur ek shauq arsa-e-mahshar meñ baaz hai
hai zarra zarra partav-e-mehr-e-jamāl-e-yār
duniyā nahīñ hai ḳhāna-e-ā.īna-sāz hai
kuchh āh-o-nāla kā nahīñ khultā asar magar
itnā ki is meñ soz hai aur us meñ saaz hai
'nādir' sunāo ik ġhazal-e-āshiqāna aur
aur ik gilās abhī to dar-e-tauba baaz hai
mazmun nahin hai saf nau-ahang-e-raaz hai
har harf sher ka lab-e-KHamosh saz hai
main aap ki lagae hun apne jigar mein aag
sine mein warna soz na dil mein gudaz hai
ek be-KHudi ne Dali hain lakhon hi gutthiyan
jo baat hai wo bhed hai jo shai hai raaz hai
wan husn se bane hain wo ek paikar-e-jamal
yan ek muraqqa hasrat-e-nazzara-baz hai
wo hain ki baat hi nahin sunte gharib ki
main hun ki daftar-e-gila-ha-e-daraaz hai
pahle tha sar mein hubb-e-watan ka mere junun
ab KHabt-e-yawa-goi-e-dur-o-daraaz hai
achchha hai wo shabab ki kuchh sujhta na tha
ab har qadam pe KHauf-e-nasheb-o-faraaz hai
ek silsila hai na-mutanahi KHayal bhi
jitna daraaz kijiye is ko daraaz hai
har waqt kashmakash mein hain ummid-o-bim ke
ahmaq hain jin ko KHwahish-e-umr-e-daraaz hai
ek aankh KHauf-e-tirgi-e-qabr mein hai band
aur ek shauq arsa-e-mahshar mein baz hai
hai zarra zarra partaw-e-mehr-e-jamal-e-yar
duniya nahin hai KHana-e-aina-saz hai
kuchh aah-o-nala ka nahin khulta asar magar
itna ki is mein soz hai aur us mein saz hai
'nadir' sunao ek ghazal-e-ashiqana aur
aur ek gilas abhi to dar-e-tauba baz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.