mehman koi ban ke jo aae kabhi kabhaar
mehmān koī ban ke jo aa.e kabhī kabhār
bas jaa.e dil kī ujḌī sarā.e kabhī kabhār
insān haiñ hameñ bhī zarūrat hai pyaar kī
koī gale hameñ bhī lagā.e kabhī kabhār
bādal ko apne saare farā.ez agar haiñ yaad
sahrā kī pyaas bhī vo bujhā.e kabhī kabhār
ab raushnī meñ aa.eñ to aa.eñ bhī kaise ham
qad nāpte haiñ apne hī saa.e kabhī kabhār
dil mānñe pe laakh na tayyār ho kabhī
ahbāb phir bhī dete haiñ raa.e kabhī kabhār
marham nasīb hī na huā jin ko aaj tak
ham ne kuchh aise zaḳhm bhī khaa.e kabhī kabhār
'shāhid' ne jis ke naam kabhī kī thī zindagī
'shāhid' kā vo bhī saath nibhā.e kabhī kabhār
mehman koi ban ke jo aae kabhi kabhaar
bas jae dil ki ujDi sarae kabhi kabhaar
insan hain hamein bhi zarurat hai pyar ki
koi gale hamein bhi lagae kabhi kabhaar
baadal ko apne sare faraez agar hain yaad
sahra ki pyas bhi wo bujhae kabhi kabhaar
ab raushni mein aaen to aaen bhi kaise hum
qad napte hain apne hi sae kabhi kabhaar
dil manne pe lakh na tayyar ho kabhi
ahbab phir bhi dete hain rae kabhi kabhaar
marham nasib hi na hua jin ko aaj tak
hum ne kuchh aise zaKHm bhi khae kabhi kabhaar
'shahid' ne jis ke nam kabhi ki thi zindagi
'shahid' ka wo bhi sath nibhae kabhi kabhaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.