mehnat ke baad bhi milin nafrat ki roTiyan
mehnat ke baa'd bhī milīñ nafrat kī roTiyāñ
sab ke nasīb meñ kahāñ izzat kī roTiyāñ
āñkhoñ se dekhne kī nahīñ chiiz maañ kā pyaar
par phir bhī dikhātī use aurat kī roTiyāñ
jab jab hamārī bhuuk kī ye aag jal uThī
vo señk ga.e is pe siyāsat kī roTiyāñ
hai svaad un kā ḳhuub magar sach to yahī hai
pachtī nahīñ sabhī ko ye shohrat kī roTiyāñ
biivī se ham ne sach ye chhupāyā hai umr bhar
aurat se baḌī chiiz hai aurat kī roTiyāñ
mehnat ke ba'd bhi milin nafrat ki roTiyan
sab ke nasib mein kahan izzat ki roTiyan
aankhon se dekhne ki nahin chiz man ka pyar
par phir bhi dikhati use aurat ki roTiyan
jab jab hamari bhuk ki ye aag jal uThi
wo senk gae is pe siyasat ki roTiyan
hai swad un ka KHub magar sach to yahi hai
pachti nahin sabhi ko ye shohrat ki roTiyan
biwi se hum ne sach ye chhupaya hai umr bhar
aurat se baDi chiz hai aurat ki roTiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.