mehndi panw mein kya lagana tha
mehndi panw mein kya lagana tha
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
mehñdī paañv meñ kyā lagānā thā
ye na aane kā ik bahānā thā
zikr-e-gul aap kī kahānī thī
hāl-e-bulbul mirā fasāna thā
mar ke jannat meñ merā jī na lagā
us kā kūcha bahut suhānā thā
jis taraf maiñ gayā yahī dekhā
merā qissa mirā fasāna thā
naza.a ke vaqt mere paas unheñ
do ghaḌī ke liye to aanā thā
phir kar aaya gayā na ek se bhī
kūcha-e-yār kyā suhānā thā
aadmī bhej kar bulāte the
kahiye vo kaun sā zamāna thā
ḳhud maiñ aaya to aap kahte haiñ
be-bulā.e tumheñ na aanā thā
shaam tak to 'haqīr' achchhe the
maut kaahe ko thī bahānā thā
mehndi panw mein kya lagana tha
ye na aane ka ek bahana tha
zikr-e-gul aap ki kahani thi
haal-e-bulbul mera fasana tha
mar ke jannat mein mera ji na laga
us ka kucha bahut suhana tha
jis taraf main gaya yahi dekha
mera qissa mera fasana tha
naza ke waqt mere pas unhen
do ghaDi ke liye to aana tha
phir kar aaya gaya na ek se bhi
kucha-e-yar kya suhana tha
aadmi bhej kar bulate the
kahiye wo kaun sa zamana tha
KHud main aaya to aap kahte hain
be-bulae tumhein na aana tha
sham tak to 'haqir' achchhe the
maut kahe ko thi bahana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.