mehrbani hai ye chashm-e-yar ki
mehrbānī hai ye chashm-e-yār kī
maut bar-haq hai dil-e-bīmār kī
vaj.h bhī zāhir kareñ inkār kī
kuchh to gunjā.ish ho istifsār kī
pal meñ tārīkī hai pal meñ raushnī
shakl hai ye muḳhtalif advār kī
aadmī ho zindagī meñ surḳh-rū
laaj rah jaa.e agar pindār kī
paikar-e-husn-e-adā hai jis kī zaat
dil meñ chāhat hai usī dildār kī
ḳhāna-e-dil se kahāñ jā.eñge aap
had muqarrar hai dar-o-dīvār kī
ho chukī 'hasrat' bahut din shā.erī
fikr karnī hai tujhe ghar-bār kī
mehrbani hai ye chashm-e-yar ki
maut bar-haq hai dil-e-bimar ki
wajh bhi zahir karen inkar ki
kuchh to gunjaish ho istifsar ki
pal mein tariki hai pal mein raushni
shakl hai ye muKHtalif adwar ki
aadmi ho zindagi mein surKH-ru
laj rah jae agar pindar ki
paikar-e-husn-e-ada hai jis ki zat
dil mein chahat hai usi dildar ki
KHana-e-dil se kahan jaenge aap
had muqarrar hai dar-o-diwar ki
ho chuki 'hasrat' bahut din shaeri
fikr karni hai tujhe ghar-bar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.