mehrbanon ki mehrbani se
mehrbānoñ kī mehrbānī se
log milte haiñ ḳhush-bayānī se
jab se Duubī hai sohnī dariyā meñ
mujh ko lagtī hai aag paanī se
zalzaloñ se makān girte haiñ
ghar ujaḌte haiñ bad-gumānī se
koī samjhā.e jaane vaale ko
dil bahaltā nahīñ nishānī se
aap nāzāñ haiñ jis javānī par
ham bhī guzre haiñ us javānī se
qissa-go se yahī guzārish hai
duur raajā kare na raanī se
zindagānī se ek shikva hai
ek shikva hai zindagānī se
kyoñ na hogā shigāf patthar meñ
ashk bahtā rahā ravānī se
'faiz' duniyā sañbhāl ab apnī
mujh ko be-daḳhl kar kahānī se
mehrbanon ki mehrbani se
log milte hain KHush-bayani se
jab se Dubi hai sohni dariya mein
mujh ko lagti hai aag pani se
zalzalon se makan girte hain
ghar ujaDte hain bad-gumani se
koi samjhae jaane wale ko
dil bahalta nahin nishani se
aap nazan hain jis jawani par
hum bhi guzre hain us jawani se
qissa-go se yahi guzarish hai
dur raja kare na rani se
zindagani se ek shikwa hai
ek shikwa hai zindagani se
kyon na hoga shigaf patthar mein
ashk bahta raha rawani se
'faiz' duniya sanbhaal ab apni
mujh ko be-daKHl kar kahani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.