melon mein ghumte rahe tanhai bech di
meloñ meñ ghūmte rahe tanhā.ī bech dī
phir yuuñ huā ki chashm-e-tamāshā.ī bech dī
saudā kabhī ḳhasāre kā us ne kiyā nahīñ
shohrat ḳharīd lī kabhī rusvā.ī beach dī
be-nām se ta.alluq-e-ḳhātir ke vāste
ik ajnabī ke haath shanāsā.ī bech dī
achchhā kiyā ki garmī-e-bāzār dekh kar
ūñche lage jo daam to goyā.ī bech dī
ab bandish-e-nigāh kī qīmat bahut baḌhī
logoñ ne jā ke apnī hī bīnā.ī bech dī
da.ave tumhāre ishq ke bātil hue sabhī
paañv ke zaḳhm dasht kī pahnā.ī bech dī
ab jāñ-ba-lab haiñ shahr ke bīmār be-shumār
zar kī havas meñ sab ne masīhā.ī bech dī
melon mein ghumte rahe tanhai bech di
phir yun hua ki chashm-e-tamashai bech di
sauda kabhi KHasare ka us ne kiya nahin
shohrat KHarid li kabhi ruswai beach di
be-nam se talluq-e-KHatir ke waste
ek ajnabi ke hath shanasai bech di
achchha kiya ki garmi-e-bazar dekh kar
unche lage jo dam to goyai bech di
ab bandish-e-nigah ki qimat bahut baDhi
logon ne ja ke apni hi binai bech di
dawe tumhaare ishq ke baatil hue sabhi
panw ke zaKHm dasht ki pahnai bech di
ab jaan-ba-lab hain shahr ke bimar be-shumar
zar ki hawas mein sab ne masihai bech di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.