melon mein phailte gae paude kapas ke
meloñ meñ phailte ga.e paude kapās ke
muhtāj kitne log haiñ phir bhī libās ke
kyā kyā na Dūbte rahe auroñ kī zaat meñ
kyā kyā muzāhire na kiye ham ne pyaas ke
har aadmī ko rañg se hai in dinoñ ġharaz
qisse purāne ho ga.e phūloñ kī baas ke
'ḳhāvar' kahīñ havā kā na hai dhuup kā guzar
ūñche haiñ sab makān mire aas paas ke
melon mein phailte gae paude kapas ke
muhtaj kitne log hain phir bhi libas ke
kya kya na Dubte rahe auron ki zat mein
kya kya muzahire na kiye hum ne pyas ke
har aadmi ko rang se hai in dinon gharaz
qisse purane ho gae phulon ki bas ke
'KHawar' kahin hawa ka na hai dhup ka guzar
unche hain sab makan mere aas pas ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.