mein aisa zauq-e-zebaish ba-ru-e-kar le aaya
meñ aisā zauq-e-zebā.ish ba-rū-e-kār le aayā
ki ḳhud-ārā.ī kī ḳhātir libās-e-dār le aayā
zamīñ kī mehvarī gardish se umreñ ghaTtī baḌhtī haiñ
guzartā vaqt saa.e ko pas-e-dīvār le aayā
magar mujh ko ye ehsās-e-nadāmt maar Dālegā
parā.e peḌ se phal toḌ kar do chaar le aayā
ye saare log us ke haq meñ raa.e dene vaale haiñ
vo apnī saarī tasvīreñ sar-e-bāzār le aayā
jahāñ se vāpsī kā rāsta qismat se miltā hai
vahāñ tak qāfile ko qāfila-sālār le aayā
virāsat meñ 'nasīm' is se baḌī jāgīr kyā hogī
maiñ dil kī dhaḌkanoñ meñ apnī maañ kā pyaar le aayā
mein aisa zauq-e-zebaish ba-ru-e-kar le aaya
ki KHud-arai ki KHatir libas-e-dar le aaya
zamin ki mehwari gardish se umren ghaTti baDhti hain
guzarta waqt sae ko pas-e-diwar le aaya
magar mujh ko ye ehsas-e-nadamt mar Dalega
parae peD se phal toD kar do chaar le aaya
ye sare log us ke haq mein rae dene wale hain
wo apni sari taswiren sar-e-bazar le aaya
jahan se wapsi ka rasta qismat se milta hai
wahan tak qafile ko qafila-salar le aaya
wirasat mein 'nasim' is se baDi jagir kya hogi
main dil ki dhaDkanon mein apni man ka pyar le aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.