mein aksar ehtimam-e-KHatir-e-sayyaad karta hun
meñ aksar ehtimām-e-ḳhātir-e-sayyād kartā huuñ
gañvā kar apne bāl-o-par qafas ābād kartā huuñ
muhandis huuñ maiñ harf-o-saut ke taaza jahānoñ kā
so apne sher meñ lahje na.e ījād kartā huuñ
to kyā fatvā koī darkār hai mere junūñ ko bhī
ki jā kar maiñ faqīh-e-shahr se fariyād kartā huuñ
sajātā huuñ kisī kī yaad se maiñ ġham-kada apnā
isī sūrat dil-e-nāshād ko maiñ shaad kartā huuñ
taqāzā hai ḳhirad kā maiñ bhulā duuñ ab use lekin
na jaane kyoñ maiñ rah rah kar usī ko yaad kartā huuñ
na.e raste banāne ke na.e ādāb haiñ phir bhī
maiñ apne daur meñ rah kar ġham-e-farhād kartā huuñ
mirī jānib jo pheñke haiñ mire ahbāb ne patthar
maiñ un ko kāmyābī kī qavī buniyād kartā huuñ
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ye kaisā adl hai 'ādil'
ki ḳhud par zulm kartā aur ḳhud fariyād kartā huuñ
mein aksar ehtimam-e-KHatir-e-sayyaad karta hun
ganwa kar apne baal-o-par qafas aabaad karta hun
muhandis hun main harf-o-saut ke taza jahanon ka
so apne sher mein lahje nae ijad karta hun
to kya fatwa koi darkar hai mere junun ko bhi
ki ja kar main faqih-e-shahr se fariyaad karta hun
sajata hun kisi ki yaad se main gham-kada apna
isi surat dil-e-nashad ko main shad karta hun
taqaza hai KHirad ka main bhula dun ab use lekin
na jaane kyon main rah rah kar usi ko yaad karta hun
nae raste banane ke nae aadab hain phir bhi
main apne daur mein rah kar gham-e-farhad karta hun
meri jaanib jo phenke hain mere ahbab ne patthar
main un ko kaamyabi ki qawi buniyaad karta hun
samajh mein kuchh nahin aata ye kaisa adl hai 'adil'
ki KHud par zulm karta aur KHud fariyaad karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.