mera afsana juda teri kahani aur hai
mera afsana juda teri kahani aur hai
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
merā afsāna judā terī kahānī aur hai
ġham kā raaja aur hai ḳhushiyoñ kī raanī aur hai
farq lahjoñ kā huā kartā hai lafzoñ kā nahīñ
hai alag sho.ala-fishānī ḳhush-bayānī aur hai
maiñ to us ke bas meñ huuñ muddat se huuñ us kā asiir
jiit hai taaza koī ye kāmrānī aur hai
naam le kar jis tarah us ne pukārā hai mujhe
us ke is lahje se mujh ko ḳhush-gumānī aur hai
ab ke shāyad us pe bhī mushkil rahā hijr-o-firāq
ab ke mehmānoñ se tarz-e-mezbānī aur hai
jaane kis ke lams kī ab ke tamannā hai unheñ
in bahāroñ meñ gulāboñ par javānī aur hai
muskurānā to hai us kī aam sī aadat 'na.īm'
us ke iz.hār-e-mohabbat kī nishānī aur hai
mera afsana juda teri kahani aur hai
gham ka raja aur hai KHushiyon ki rani aur hai
farq lahjon ka hua karta hai lafzon ka nahin
hai alag shoala-fishani KHush-bayani aur hai
main to us ke bas mein hun muddat se hun us ka asir
jit hai taza koi ye kaamrani aur hai
nam le kar jis tarah us ne pukara hai mujhe
us ke is lahje se mujh ko KHush-gumani aur hai
ab ke shayad us pe bhi mushkil raha hijr-o-firaq
ab ke mehmanon se tarz-e-mezbani aur hai
jaane kis ke lams ki ab ke tamanna hai unhen
in bahaaron mein gulabon par jawani aur hai
muskurana to hai us ki aam si aadat 'naim'
us ke izhaar-e-mohabbat ki nishani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.