mera bachpan hi mujhe yaad dilane aae
merā bachpan hī mujhe yaad dilāne aa.e
phir hathelī pe koī naam likhāne aa.e
aa ke chupke se koī chīḳh paḌe kānoñ meñ
gudgudāne na sahī aa.e Darāne aa.e
luuT le aa ke mirī sub.h kī mīThī nīñdeñ
maiñ kahāñ kahtā huuñ vo mujh ko jagāne aa.e
mere āñgan meñ na jugnū haiñ na titlī na gulāb
koī aa.e bhī to ab kis ke bahāne aa.e
der tak Thahrī rahī palkoñ pe yādoñ kī barāt
niiñd aa.ī to ka.ī ḳhvāb suhāne aa.e
mera bachpan hi mujhe yaad dilane aae
phir hatheli pe koi nam likhane aae
aa ke chupke se koi chiKH paDe kanon mein
gudgudane na sahi aae Darane aae
luT le aa ke meri subh ki miThi ninden
main kahan kahta hun wo mujh ko jagane aae
mere aangan mein na jugnu hain na titli na gulab
koi aae bhi to ab kis ke bahane aae
der tak Thahri rahi palkon pe yaadon ki baraat
nind aai to kai KHwab suhane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.