mera dil jalate ho barishon ke mausam mein
merā dil jalāte ho bārishoñ ke mausam meñ
kitnā yaad aate ho bārishoñ ke mausam meñ
kis kī kāġhazī kashtī jhiil meñ Dubote ho
ab kise satāte ho bārishoñ ke mausam meñ
aql ke pujārī to is havā se Darte haiñ
tum diye jalāte ho bārishoñ ke mausam meñ
aag sā badan le kar ghar se jab nikalte ho
bijliyāñ girāte ho bārishoñ ke mausam meñ
yaar tum bhī kaise ho itne kachche rangoñ se
bām-o-dar sajāte ho bārishoñ ke mausam meñ
buuñd buuñd paanī meñ phir jalā liyā ḳhud ko
kyoñ fareb khāte ho bārishoñ ke mausam meñ
mera dil jalate ho barishon ke mausam mein
kitna yaad aate ho barishon ke mausam mein
kis ki kaghazi kashti jhil mein Dubote ho
ab kise satate ho barishon ke mausam mein
aql ke pujari to is hawa se Darte hain
tum diye jalate ho barishon ke mausam mein
aag sa badan le kar ghar se jab nikalte ho
bijliyan giraate ho barishon ke mausam mein
yar tum bhi kaise ho itne kachche rangon se
baam-o-dar sajate ho barishon ke mausam mein
bund bund pani mein phir jala liya KHud ko
kyon fareb khate ho barishon ke mausam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.