Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera dil saf hai har shaKHs se darpan ki tarah

Kamal Lakhnavi

mera dil saf hai har shaKHs se darpan ki tarah

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    merā dil saaf hai har shaḳhs se darpan tarah

    maiñ to dushman se bhī miltā nahīñ dushman tarah

    be-tahāshā jo tirī yaad kabhī aa.ī hai

    ashk āñkhoñ se barasne lage sāvan tarah

    mere hoñToñ ke tabassum pe na jaao yaaro

    zindagī hai mirī jalte hue īñdhan tarah

    barq rah rah ke chamaktī hai chamakne diije

    ham banā.eñge nasheman ko nasheman tarah

    nang-e-kirdār meñ bazm-e-bashariyyat ke liye

    haath phailā.eñ jo phaile hue dāman tarah

    maslahat ye taqāzā hai ki bach kar rahiye

    aaj daur hai biphrī huī nāgan tarah

    roz khilte haiñ na.e phuul mire dāman meñ

    duur gulshan se mahakte hue gulshan tarah

    vaqt baat hai ham taḳht-nashīnān-e-jahāñ

    dar-ba-dar phirte haiñ muhtāj-e-nasheman tarah

    shukr sad-shukr zamāne nigāhoñ meñ 'kamāl'

    merā dāman nahīñ maske hue dāman tarah

    mera dil saf hai har shaKHs se darpan ki tarah

    main to dushman se bhi milta nahin dushman ki tarah

    be-tahasha jo teri yaad kabhi aai hai

    ashk aankhon se barasne lage sawan ki tarah

    mere honTon ke tabassum pe na jao yaro

    zindagi hai meri jalte hue indhan ki tarah

    barq rah rah ke chamakti hai chamakne dije

    hum banaenge nasheman ko nasheman ki tarah

    nang-e-kirdar mein bazm-e-bashariyyat ke liye

    hath phailaen jo phaile hue daman ki tarah

    maslahat ka ye taqaza hai ki bach kar rahiye

    aaj ka daur hai biphri hui nagan ki tarah

    roz khilte hain nae phul mere daman mein

    dur gulshan se mahakte hue gulshan ki tarah

    waqt ki baat hai hum taKHt-nashinan-e-jahan

    dar-ba-dar phirte hain muhtaj-e-nasheman ki tarah

    shukr sad-shukr zamane ki nigahon mein 'kamal'

    mera daman nahin maske hue daman ki tarah

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now