mera hi dil hai bisat-e-hasrat wagarna duniya mein kya nahin hai
mera hi dil hai bisat-e-hasrat wagarna duniya mein kya nahin hai
Shaukat Wasti
MORE BYShaukat Wasti
merā hī dil hai bisāt-e-hasrat vagarna duniyā meñ kyā nahīñ hai
bas aisā mahsūs ho rahā hai ki jaise merā ḳhudā nahīñ hai
karāmat-e-zauq-o-sehr-e-vijdāñ shaguftan-e-anjum-o-gul-o-mai
hai mo.ajiza vus.at-e-nazar kā koī adā ḳhushnumā nahīñ hai
ḳhizāñ dam-e-vāpsīñ nahīñ hai bahār kā ai gul-e-tamanna
hayāt ik jazb-e-jāvedāñ hai jahān mātam-sarā nahīñ hai
husūl-e-maqsad girāñ nahīñ hai ḳhulūs-e-niyyat agar ho shāmil
duā nahīñ bāryāb terī ki tū sharīk-e-duā nahīñ hai
mirā aqīda bhī kaifiyat par hai zā.irān-e-sharāb-ḳhāna
rahe na īmān dost kī aañkh par magar ye ravā nahīñ hai
isī jahāñ meñ zabāñ-zad-e-ām haiñ mohabbat ke sau fasāne
yahīñ mire dost bhī haiñ 'shaukat' jinheñ ḳhayāl-e-vafā nahīñ hai
mera hi dil hai bisat-e-hasrat wagarna duniya mein kya nahin hai
bas aisa mahsus ho raha hai ki jaise mera KHuda nahin hai
karamat-e-zauq-o-sehr-e-wijdan shaguftan-e-anjum-o-gul-o-mai
hai moajiza wusat-e-nazar ka koi ada KHushnuma nahin hai
KHizan dam-e-wapsin nahin hai bahaar ka ai gul-e-tamanna
hayat ek jazb-e-jawedan hai jahan matam-sara nahin hai
husul-e-maqsad giran nahin hai KHulus-e-niyyat agar ho shamil
dua nahin baryab teri ki tu sharik-e-dua nahin hai
mera aqida bhi kaifiyat par hai zairan-e-sharab-KHana
rahe na iman dost ki aankh par magar ye rawa nahin hai
isi jahan mein zaban-zad-e-am hain mohabbat ke sau fasane
yahin mere dost bhi hain 'shaukat' jinhen KHayal-e-wafa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.