mera junun meri firasat ke samne
merā junūn merī firāsat ke sāmne
sāya-fagan banā hai tamāzat ke sāmne
auqāt kyā batā.ūñ tumheñ is jahān kī
turfa-tamāshā hai mirī vahshat ke sāmne
ham ne ḳhudā kī raah meñ sar tak kaTā diyā
jhuknā kiyā qubūl na zulmat ke sāmne
sar par sadāqatoñ ke hasīñ taaj haiñ magar
mujrim hamīñ bane haiñ adālat ke sāmne
mahbūbiyat vafā kī haqīqat hai dosto
duniyā jhukī huī hai mohabbat ke sāmne
ḳhāmosh kyoñ haiñ tere lab-e-ārzū ai 'shād'
bechain dhaḌkanoñ kī samā.at ke sāmne
mera junun meri firasat ke samne
saya-fagan bana hai tamazat ke samne
auqat kya bataun tumhein is jahan ki
turfa-tamasha hai meri wahshat ke samne
hum ne KHuda ki rah mein sar tak kaTa diya
jhukna kiya qubul na zulmat ke samne
sar par sadaqaton ke hasin taj hain magar
mujrim hamin bane hain adalat ke samne
mahbubiyat wafa ki haqiqat hai dosto
duniya jhuki hui hai mohabbat ke samne
KHamosh kyon hain tere lab-e-arzu ai 'shad'
bechain dhaDkanon ki samaat ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.