mera KHat likh ke bulana use achchha na laga
mera KHat likh ke bulana use achchha na laga
Amber Waseem Allahabadi
MORE BYAmber Waseem Allahabadi
merā ḳhat likh ke bulānā use achchhā na lagā
is tarah pyaar jatānā use achchhā na lagā
kah ke Thokar vo to rāhoñ meñ girā thā lekin
merā yuuñ haath baḌhānā use achchhā na lagā
rahne vaalī thī vo mahloñ kī isī kī ḳhātir
merā chhoTā sā Thikānā use achchhā na lagā
sun liyā pahle to hañs hañs ke fasāna 'amabar'
phir ye bolī ye fasāna use achchhā na lagā
mera KHat likh ke bulana use achchha na laga
is tarah pyar jatana use achchha na laga
kah ke Thokar wo to rahon mein gira tha lekin
mera yun hath baDhana use achchha na laga
rahne wali thi wo mahlon ki isi ki KHatir
mera chhoTa sa Thikana use achchha na laga
sun liya pahle to hans hans ke fasana 'amabar'
phir ye boli ye fasana use achchha na laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.