mera lahja baDa dil-gir hua karta hai
merā lahja baḌā dil-gīr huā kartā hai
dil pe lag jaa.e to zanjīr huā kartā hai
sher meñ kuchh bhī kaheñ aap magar sahrā to
aaj bhī qais kī jāgīr huā kartā hai
baat to tab thī nazar bhī na uThānī paḌtī
teġh uThāne se koī viir huā kartā hai
ab maiñ is chaak kī gardish pe nahīñ detā dhyān
kuchh na kuchh roz hī ta.amīr huā kartā hai
kaun āshob-e-shab-o-roz meñ suntā hai ġhazal
kis liye shahr meñ dil 'mīr' huā kartā hai
mera lahja baDa dil-gir hua karta hai
dil pe lag jae to zanjir hua karta hai
sher mein kuchh bhi kahen aap magar sahra to
aaj bhi qais ki jagir hua karta hai
baat to tab thi nazar bhi na uThani paDti
tegh uThane se koi wir hua karta hai
ab main is chaak ki gardish pe nahin deta dhyan
kuchh na kuchh roz hi tamir hua karta hai
kaun aashob-e-shab-o-roz mein sunta hai ghazal
kis liye shahr mein dil 'mir' hua karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.