mera mazi mujhse kaTa nahin mera haal mujhse juda kiya
merā maazī mujh se kaTā nahīñ mirā haal mujh se judā kiyā
mujhe noch lene ke shauq ne tujhe kitnā vahshī banā diyā
mere zikr pe rahī kajravī mujhe ahl-e-mahfil batā rahe
kabhī māñgtā thā duāoñ meñ vahī naam us ne bhulā diyā
maiñ jo ek ahd se qafas meñ thā to ye Thaan kar maiñ rihā huā
kahīñ koī piñjrā dikhā mujhe to har ek parinda uḌā diyā
mujhe ik faqīr ne kah diyā tire dil kī puurī murād ho
so tirī talāsh meñ ek din tirā naqsh maiñ ne miTā diyā
tirī sab dalīloñ ke bāvajūd mirā jurm sābit na ho sakā
tirā maan rakhne ko yuuñ kiyā ki tujhe hī munsif banā diyā
mera mazi mujh se kaTa nahin mera haal mujh se juda kiya
mujhe noch lene ke shauq ne tujhe kitna wahshi bana diya
mere zikr pe rahi kajrawi mujhe ahl-e-mahfil bata rahe
kabhi mangta tha duaon mein wahi nam us ne bhula diya
main jo ek ahd se qafas mein tha to ye Than kar main riha hua
kahin koi pinjra dikha mujhe to har ek parinda uDa diya
mujhe ek faqir ne kah diya tere dil ki puri murad ho
so teri talash mein ek din tera naqsh main ne miTa diya
teri sab dalilon ke bawajud mera jurm sabit na ho saka
tera man rakhne ko yun kiya ki tujhe hi munsif bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.