mera maslak hai mohabbat dosti shewa mera
merā maslak hai mohabbat dostī sheva mirā
merī manzil bhī yahī hai aur yahī rasta mirā
kyuuñ kisī se kuchh bayāñ kartā bhī maiñ rūdād-e-ġham
hāl-e-dil kā aa.ina bhī merā hai chehrā mirā
apnī vaz'-dārī ne hone diyā rusvā nahīñ
go rahā mahrūmiyoñ se 'umr-bhar rishta mirā
ābla-pā.ī se kab sahrā-navardī ruk sakī
ik rafīq-e-rāh kī sūrat hai zaḳhm-e-pā mirā
dostoñ ko ho mubārak bhī fazā-e-gulsitāñ
raah kab se dekhtā hai dāman-e-sahrā mirā
vaz'-dārī dostoñ se ho sakī itnī nahīñ
dushmanoñ meñ rāt-din to hotā hai charchā mirā
aap hī ne to mohabbat se kahā thā ek din
āshiq-e-jāñ-bāz hai 'ḳhushtar' faqat tanhā mirā
mera maslak hai mohabbat dosti shewa mera
meri manzil bhi yahi hai aur yahi rasta mera
kyun kisi se kuchh bayan karta bhi main rudad-e-gham
haal-e-dil ka aaina bhi mera hai chehra mera
apni waz'-dari ne hone diya ruswa nahin
go raha mahrumiyon se 'umr-bhar rishta mera
aabla-pai se kab sahra-nawardi ruk saki
ek rafiq-e-rah ki surat hai zaKHm-e-pa mera
doston ko ho mubarak bhi faza-e-gulsitan
rah kab se dekhta hai daman-e-sahra mera
waz'-dari doston se ho saki itni nahin
dushmanon mein raat-din to hota hai charcha mera
aap hi ne to mohabbat se kaha tha ek din
aashiq-e-jaan-baz hai 'KHushtar' faqat tanha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.