mera paikar muKHtalif samton mein baT kar rah gaya
merā paikar muḳhtalif samtoñ meñ baT kar rah gayā
gard kī sūrat havāoñ se lipaT kar rah gayā
maiñ chalā thā justujū-e-ġhuncha-o-gul meñ magar
ek kāñTā mere dāman se lipaT kar rah gayā
jab nazar aaya ki rahzan hai ba-shakl-e-rahnumā
qāfile vāloñ se maiñ dānista kaT kar rah gayā
zindagī jo ik haqīqat thī kahānī ban ga.ī
vāqi'a thā maiñ jo afsānoñ meñ baT kar rah gayā
hādisa dar hādisa dar hādisa dar hādisa
saarā maazī ek aañsū meñ simaT kar rah gayā
TukḌe TukḌe kar diyā kis ne vafā kā aa.ina
merā chehra anginat chehroñ meñ baT kar rah gayā
chhīn liiñ 'razmī' taraqqī ne hamārī 'azmateñ
jitnā qad ūñchā huā insān ghaT kar rah gayā
mera paikar muKHtalif samton mein baT kar rah gaya
gard ki surat hawaon se lipaT kar rah gaya
main chala tha justuju-e-ghuncha-o-gul mein magar
ek kanTa mere daman se lipaT kar rah gaya
jab nazar aaya ki rahzan hai ba-shakl-e-rahnuma
qafile walon se main danista kaT kar rah gaya
zindagi jo ek haqiqat thi kahani ban gai
waqi'a tha main jo afsanon mein baT kar rah gaya
hadisa dar hadisa dar hadisa dar hadisa
sara mazi ek aansu mein simaT kar rah gaya
TukDe TukDe kar diya kis ne wafa ka aaina
mera chehra anginat chehron mein baT kar rah gaya
chhin lin 'razmi' taraqqi ne hamari 'azmaten
jitna qad uncha hua insan ghaT kar rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.