mera tan sar se juda karte hi bekal ho gaya
merā tan sar se judā karte hī bekal ho gayā
vo adhūrā rah gayā aur maiñ mukammal ho gayā
husn kī tāvīl meñ bas itnī tabdīlī huī
TaaT kā TukḌā tire shānoñ pe maḳhmal ho gayā
pahle gahre pāniyoñ meñ us kī būd-o-bāsh thī
ab havā ke dosh par aayā to bādal ho gayā
phuul kī ik zarb se aañsū nikal aa.e mire
ek halkī baat kā ehsās bojhal ho gayā
vaqt kī nabzoñ pe is kā haath bhī kamzor thā
saañs kī raftār par maiñ bhī musalsal ho gayā
is qadar mānūs thī ḳhilqat añdhere se 'nasīm'
raushnī phūTī to saarā shahr pāgal ho gayā
mera tan sar se juda karte hi bekal ho gaya
wo adhura rah gaya aur main mukammal ho gaya
husn ki tawil mein bas itni tabdili hui
TaT ka TukDa tere shanon pe maKHmal ho gaya
pahle gahre paniyon mein us ki bud-o-bash thi
ab hawa ke dosh par aaya to baadal ho gaya
phul ki ek zarb se aansu nikal aae mere
ek halki baat ka ehsas bojhal ho gaya
waqt ki nabzon pe is ka hath bhi kamzor tha
sans ki raftar par main bhi musalsal ho gaya
is qadar manus thi KHilqat andhere se 'nasim'
raushni phuTi to sara shahr pagal ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.