mera to kya KHushi mein rahun ya malal mein
mera to kya KHushi mein rahun ya malal mein
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
merā to kyā ḳhushī meñ rahūñ yā malāl meñ
tum ḳhush raho jahāñ bhī raho jis ḳhayāl meñ
huuñ mahv maiñ to aisā kisī ke ḳhayāl meñ
kuchh imtiyāz hī nahīñ hijr-o-visāl meñ
tere ḳhayāl hī kī badaulat hai zindagī
tū hai to ik jahān hai mere ḳhayāl meñ
haa.il agar hazār hoñ parde to kuchh nahīñ
tum ho mirī nigāh meñ dil meñ ḳhayāl meñ
hotā rahe karam jo yūñhī ai ḳhayāl-e-yār
laġhzish na ho kabhī mire pā-e-ḳhayāl meñ
hai tū to har ghaḌī mirī āñkhoñ ke sāmne
aatā huuñ maiñ bhī kyā kabhī tere ḳhayāl meñ
sher-o-suḳhan kī 'ārzū' ab daad kyā mile
zauq-e-suḳhan hī jab nahīñ ahl-e-kamāl meñ
mera to kya KHushi mein rahun ya malal mein
tum KHush raho jahan bhi raho jis KHayal mein
hun mahw main to aisa kisi ke KHayal mein
kuchh imtiyaz hi nahin hijr-o-visal mein
tere KHayal hi ki badaulat hai zindagi
tu hai to ek jahan hai mere KHayal mein
hail agar hazar hon parde to kuchh nahin
tum ho meri nigah mein dil mein KHayal mein
hota rahe karam jo yunhi ai KHayal-e-yar
laghzish na ho kabhi mere pa-e-KHayal mein
hai tu to har ghaDi meri aankhon ke samne
aata hun main bhi kya kabhi tere KHayal mein
sher-o-suKHan ki 'arzu' ab dad kya mile
zauq-e-suKHan hi jab nahin ahl-e-kamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.