mera us se jis ghaDi bhi samna ho jaega
merā us se jis ghaḌī bhī sāmnā ho jā.egā
ḳhatm apne aap zāhid fāsla ho jā.egā
le ga.ī thī mere bachchoñ ko vahāñ fikr-e-ma.āsh
kyā ḳhabar thī shahr saarā karbalā ho jā.egā
nāz-bardārī abhī se husn kī achchhī nahīñ
varna ik din ḳhud kī nazroñ meñ ḳhudā ho jā.egā
kitne lambe paañv haiñ āḳhir suhānī dhuup ke
shaam hote hī chalo ye faisla ho jā.egā
justujū meñ tum kahāñ sūraj kī yaaro aa ga.e
vo agar mil bhī gayā phir lāpata ho jā.egā
dosto tanhā.ī ke sahrā se mujh ko le chalo
varna ik din dekhnā 'zāhid' fanā ho jā.egā
mera us se jis ghaDi bhi samna ho jaega
KHatm apne aap zahid fasla ho jaega
le gai thi mere bachchon ko wahan fikr-e-maash
kya KHabar thi shahr sara karbala ho jaega
naz-bardari abhi se husn ki achchhi nahin
warna ek din KHud ki nazron mein KHuda ho jaega
kitne lambe panw hain aaKHir suhani dhup ke
sham hote hi chalo ye faisla ho jaega
justuju mein tum kahan suraj ki yaro aa gae
wo agar mil bhi gaya phir lapata ho jaega
dosto tanhai ke sahra se mujh ko le chalo
warna ek din dekhna 'zahid' fana ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.