mera wajud qabil-e-sahra to hai nahin
merā vajūd qābil-e-sahrā to hai nahīñ
saudā tumhāre ishq kā rakhā to hai nahīñ
behtar hai bhuul jā.ūñ maiñ us kī muḳhālifat
us se najāt kā koī zariya to hai nahīñ
is dil meñ ek halqa-e-ahbāb aur hai
ḳhālī tumhāre naam kā Thappa to hai nahīñ
agnī ke saat phere liye haiñ tumhāre saath
ḳhālī ye chand roz kā rishta to hai nahīñ
duniyā tamāshbīn hai dekhe to dekh le
āḳhir ye āshiqī mirā pesha to hai nahīñ
sar jhuk gayā tumhārā magar dil nahīñ jhukā
sajda tumhārā shaiḳh jī sajda to hai nahīñ
'anvar' chalā gayā tire dar se ye soch kar
tā-umr ab mujhe vahāñ rahnā to hai nahīñ
mera wajud qabil-e-sahra to hai nahin
sauda tumhaare ishq ka rakha to hai nahin
behtar hai bhul jaun main us ki muKHalifat
us se najat ka koi zariya to hai nahin
is dil mein ek halqa-e-ahbab aur hai
KHali tumhaare nam ka Thappa to hai nahin
agni ke sat phere liye hain tumhaare sath
KHali ye chand roz ka rishta to hai nahin
duniya tamashbin hai dekhe to dekh le
aaKHir ye aashiqi mera pesha to hai nahin
sar jhuk gaya tumhaara magar dil nahin jhuka
sajda tumhaara shaiKH ji sajda to hai nahin
'anwar' chala gaya tere dar se ye soch kar
ta-umr ab mujhe wahan rahna to hai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.