mere aaghaz ki tauqir ko anjam dikha
mere āġhāz kī tauqīr ko anjām dikhā
apnā jauhar tū zarā gardish-e-ayyām dikhā
chāñd sūraj kī shu'ā'oñ se adā.eñ le kar
jazba-e-shauq zamāne ko koī kaam dikhā
kaaT lī 'umr añdheroñ meñ agarche mālik
ab to ḳhushiyoñ ke ujāloñ meñ sahar shaam dikhā
o mirī aañkh kī putlī meñ samāne vaale
mo'jiza ḳhvāb kā ek roz sar-e-shām dikhā
kuchh zabānī bhī kahā hai ye batā de qāsid
kyā raqam hai mire mahbūb kā paiġhām dikhā
jhuum kar chuum rahe haiñ jise paiham mai-ḳhvār
kaisā ḳhush-rang hai saaqī vo tirā jaam dikhā
mere aaghaz ki tauqir ko anjam dikha
apna jauhar tu zara gardish-e-ayyam dikha
chand suraj ki shu'a'on se adaen le kar
jazba-e-shauq zamane ko koi kaam dikha
kaT li 'umr andheron mein agarche malik
ab to KHushiyon ke ujalon mein sahar sham dikha
o meri aankh ki putli mein samane wale
mo'jiza KHwab ka ek roz sar-e-sham dikha
kuchh zabani bhi kaha hai ye bata de qasid
kya raqam hai mere mahbub ka paigham dikha
jhum kar chum rahe hain jise paiham mai-KHwar
kaisa KHush-rang hai saqi wo tera jam dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.