mere ahwal ka afsana banaya hota
mere ahvāl kā afsāna banāyā hotā
har parī-zād ko dīvāna banāyā hotā
tū jo raushan mirā kāshāna banāyā hotā
muñh har ik sham.a se parvāna banāyā hotā
haar to us ke gale ke na bane ashk mire
dil ko baale hī kā durdāna banāyā hotā
dekhī masjid kī banā maiñ ne ye dil maiñ sochā
kaash is jā koī mai-ḳhāna banāyā hotā
dekhte shauq se chhātī ko lagā bhī lete
dil ko jo ā.īna-ḳhāna na banāyā hotā
hasrat-e-bosa-e-lab kis liye jānāñ rahtī
ḳhaak se mere jo paimāna banāyā hotā
sar ko baazū pe mire aap jo rakh kar sote
zulf kā palkoñ hī se shāna banāyā hotā
chaman-e-kūcha-e-jānāñ meñ jo hotā maiñ 'nasīm'
ġhair ko sabza-e-begāna banāyā hotā
mere ahwal ka afsana banaya hota
har pari-zad ko diwana banaya hota
tu jo raushan mera kashana banaya hota
munh har ek shama se parwana banaya hota
haar to us ke gale ke na bane ashk mere
dil ko baale hi ka durdana banaya hota
dekhi masjid ki bana main ne ye dil main socha
kash is ja koi mai-KHana banaya hota
dekhte shauq se chhati ko laga bhi lete
dil ko jo aaina-KHana na banaya hota
hasrat-e-bosa-e-lab kis liye jaanan rahti
KHak se mere jo paimana banaya hota
sar ko bazu pe mere aap jo rakh kar sote
zulf ka palkon hi se shana banaya hota
chaman-e-kucha-e-jaanan mein jo hota main 'nasim'
ghair ko sabza-e-begana banaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.