mere andar hai kamra tirgi ka
mere andar hai kamrā tīrgī kā
darīcha koī khole raushnī kā
samundar saath hai sadiyoñ se lekin
vahī aalam hai merī tishnagī kā
zarā sī laao ḳhud meñ ḳhāksārī
asar phir dekhnā tum bandagī kā
kisī din dekh kar āñkheñ tumhārī
banā.ūñgī maiñ chehra zindagī kā
mohabbat bas mohabbat bas mohabbat
yahī ik falsafa hai zindagī kā
vabā har din badal letī hai chehra
ḳhudā jaane kyā hogā is sadī kā
lage hai ġhair sī 'sarītā' ko duniyā
ye jaadū hai tirī dīvāngī kā
mere andar hai kamra tirgi ka
daricha koi khole raushni ka
samundar sath hai sadiyon se lekin
wahi aalam hai meri tishnagi ka
zara si lao KHud mein KHaksari
asar phir dekhna tum bandagi ka
kisi din dekh kar aankhen tumhaari
banaungi main chehra zindagi ka
mohabbat bas mohabbat bas mohabbat
yahi ek falsafa hai zindagi ka
waba har din badal leti hai chehra
KHuda jaane kya hoga is sadi ka
lage hai ghair si 'sarita' ko duniya
ye jadu hai teri diwangi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.