mere andar jaise koi ThanDa sahra jalta hai
mere andar jaise koī ThanDā sahrā jaltā hai
aahaT aahaT yuuñ lagtā hai mujh meñ koī chaltā hai
maiñ ne to dehrī par baiThe baiThe raat guzārī hai
mere bistar par phir tanhā karvaT kaun badaltā hai
aag havan kī tez hai itnī saare mantr bhulā degī
is vedī par sīdhā vaalā haath hamesha jaltā hai
is nagrī meñ kāñch ke TukḌe patthar kāñTe bikhre haiñ
dhyān se chalnā is nagrī meñ aksar paañv phisaltā hai
tez aañch meñ jal kar chūḌī satrañgī ban jaatī hai
merī sāñsoñ kā shīsha bhī kitne rañg badaltā hai
vo chāhe to haath baḌhā kar ghar ke andar le jaa.e
us ke dar par girne vaalā ḳhud se kahāñ sambhaltā hai
chāñd ke aañsū shabnam ban kar dhartī ke siine par haiñ
sūraj kī aahoñ se jaise barf kā dariyā galtā hai
mere andar jaise koi ThanDa sahra jalta hai
aahaT aahaT yun lagta hai mujh mein koi chalta hai
main ne to dehri par baiThe baiThe raat guzari hai
mere bistar par phir tanha karwaT kaun badalta hai
aag hawan ki tez hai itni sare mantr bhula degi
is wedi par sidha wala hath hamesha jalta hai
is nagri mein kanch ke TukDe patthar kanTe bikhre hain
dhyan se chalna is nagri mein aksar panw phisalta hai
tez aanch mein jal kar chuDi satrangi ban jati hai
meri sanson ka shisha bhi kitne rang badalta hai
wo chahe to hath baDha kar ghar ke andar le jae
us ke dar par girne wala KHud se kahan sambhalta hai
chand ke aansu shabnam ban kar dharti ke sine par hain
suraj ki aahon se jaise barf ka dariya galta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.