mere ashaar mere zehn ki ijad nahin
mere ash'ār mire zehn kī ījād nahīñ
kaun kahtā hai mirī fikr ḳhudā-dād nahīñ
kyā ta'ajjub hai zabāñ par mirī fariyād nahīñ
aaj vo paas hai phir bhī mirā dil-shād nahīñ
dasht-o-sahrā kī fazāoñ meñ bhī dil-shād nahīñ
kaisā dīvāna hai jo 'ishq meñ barbād nahīñ
kaisī vīrān sī bastī meñ chalā aaya huuñ
sab hī barbād yahāñ koī bhī ābād nahīñ
merā andāz-e-'ibādat hī judāgāna hai
kaun kahtā hai mujhe merā ḳhudā yaad nahīñ
maiñ to kahtā huuñ ki shāgird ho mujh sā 'adnān'
mere ustād ke jaisā koī ustād nahīñ
mere ash'ar mere zehn ki ijad nahin
kaun kahta hai meri fikr KHuda-dad nahin
kya ta'ajjub hai zaban par meri fariyaad nahin
aaj wo pas hai phir bhi mera dil-shad nahin
dasht-o-sahra ki fazaon mein bhi dil-shad nahin
kaisa diwana hai jo 'ishq mein barbaad nahin
kaisi viran si basti mein chala aaya hun
sab hi barbaad yahan koi bhi aabaad nahin
mera andaz-e-'ibaadat hi judagana hai
kaun kahta hai mujhe mera KHuda yaad nahin
main to kahta hun ki shagird ho mujh sa 'adnan'
mere ustad ke jaisa koi ustad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.