mere ashaar mein alfaz ke jauhar dekho
mere ash.ār meñ alfāz ke jauhar dekho
band hai fikr ke kuuze meñ samundar dekho
har taraf jalva-fagan nuur kā manzar dekho
dekhne vaalo mire qalb ke andar dekho
dasht-e-zulmat se ujāloñ kā tajassus le kar
dosto aao ba-sad-shauq mirā ghar dekho
sang-e-dushnām uThāte ho uThāo lekin
apne kirdār kī tahrīr to paḌh kar dekho
mauj-dar-mauj abhī aks bikhar jā.egā
jhiil ke chehre pe tum pheñk ke patthar dekho
sub.h kī pahlī kiran jhāñk ga.ī rauzan se
band kamre se nikal kar zarā bāhar dekho
rū-ba-rū chehre kī tausīf-pasandī se pare
ḳhud ko kirdār ke ā.īne meñ 'nashtar' dekho
mere ashaar mein alfaz ke jauhar dekho
band hai fikr ke kuze mein samundar dekho
har taraf jalwa-fagan nur ka manzar dekho
dekhne walo mere qalb ke andar dekho
dasht-e-zulmat se ujalon ka tajassus le kar
dosto aao ba-sad-shauq mera ghar dekho
sang-e-dushnam uThate ho uThao lekin
apne kirdar ki tahrir to paDh kar dekho
mauj-dar-mauj abhi aks bikhar jaega
jhil ke chehre pe tum phenk ke patthar dekho
subh ki pahli kiran jhank gai rauzan se
band kamre se nikal kar zara bahar dekho
ru-ba-ru chehre ki tausif-pasandi se pare
KHud ko kirdar ke aaine mein 'nashtar' dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.