mere bachne ki aaKHiri surat
mere bachne kī āḳhirī sūrat
sāmne aa.e aap kī sūrat
ruup misrā-numā bhī hote haiñ
log hote haiñ shā.irī-sūrat
tū thā sāhil pe log dekhte the
vo samundar kī mātamī sūrat
terī sūrat hī pahlī sūrat hai
terī sūrat hī dūsrī sūrat
ye to fitrat se iḳhtilāf huā
koī shā.ir ho maulvī-sūrat
terī nisbat se āshkār huā
maut hotī hai zindagī-sūrat
kitne sīnoñ meñ zahr boyā gayā
kitnī āñkhoñ ko khā ga.ī sūrat
mere bachne ki aaKHiri surat
samne aae aap ki surat
rup misra-numa bhi hote hain
log hote hain shairi-surat
tu tha sahil pe log dekhte the
wo samundar ki matami surat
teri surat hi pahli surat hai
teri surat hi dusri surat
ye to fitrat se iKHtilaf hua
koi shair ho maulwi-surat
teri nisbat se aashkar hua
maut hoti hai zindagi-surat
kitne sinon mein zahr boya gaya
kitni aankhon ko kha gai surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.