mere dil-e-nadan pe nishan yun hi nahin tha
mere dil-e-nādāñ pe nishāñ yuuñ hī nahīñ thā
vo zaḳhm mire dil kā javāñ yuuñ hī nahīñ thā
kal raat nigāhoñ se bhī kuchh baat huī thī
kal raat ye dil dasht-e-gumāñ yuuñ hī nahīñ thā
manzar tirī yādoñ ke sulagte rahe dil meñ
dilbar mire kamre meñ dhuāñ yuuñ hī nahīñ thā
rakkhā na thā kāñdhe pe mire haath kisī ne
andar mire ye dariyā nihāñ yuuñ hī nahīñ thā
rut aa.ī ga.ī par kabhī vo shaḳhs na barsā
chehre pe mire rang-e-ḳhizāñ yuuñ hī nahīñ thā
maiñ ne hī bachāyā thā use duniyā-jahāñ se
maiñ us ke liye arsh-makāñ yuuñ hī nahīñ thā
us ne hī shab-e-ġham meñ dikhā.ī thī har ik raah
vo 'jhā' ke liye nūr-fishāñ yuuñ hī nahīñ thā
mere dil-e-nadan pe nishan yun hi nahin tha
wo zaKHm mere dil ka jawan yun hi nahin tha
kal raat nigahon se bhi kuchh baat hui thi
kal raat ye dil dasht-e-guman yun hi nahin tha
manzar teri yaadon ke sulagte rahe dil mein
dilbar mere kamre mein dhuan yun hi nahin tha
rakkha na tha kandhe pe mere hath kisi ne
andar mere ye dariya nihan yun hi nahin tha
rut aai gai par kabhi wo shaKHs na barsa
chehre pe mere rang-e-KHizan yun hi nahin tha
main ne hi bachaya tha use duniya-jahan se
main us ke liye arsh-makan yun hi nahin tha
us ne hi shab-e-gham mein dikhai thi har ek rah
wo 'jha' ke liye nur-fishan yun hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.