mere dil ka jo nigahban na hua tha so hua
mere dil kā jo nigahbāñ na huā thā so huā
jis kā mujh par koī ehsāñ na huā thā so huā
us ne bhī dekh liyā merī vafāoñ kā asar
jo jafāoñ pe pashemāñ na huā thā so huā
ik vahī raaz jise dil meñ chhupāyā barsoñ
shiddat-e-ġham se numāyāñ na huā thā so huā
is tavajjoh se mujhe dekh rahā thā koī
maiñ to itnā kabhī hairāñ na huā thā so huā
hasrateñ ḳhatm huiiñ koī tamanna na rahī
zindagī se maiñ gurezāñ na huā thā so huā
aa gayā vaqt ye kaisā ki ilāhī tauba
jo shikār-e-ġham-e-daurāñ na huā thā so huā
sehn-e-gulshan meñ huī sho.ala-fishānī har-sū
yuuñ kabhī jashn-e-bahārāñ na huā thā so huā
daf.atan mere shabistāñ meñ vo aa.e 'ahmad'
dard-e-dil kā mire darmāñ na huā thā so huā
mere dil ka jo nigahban na hua tha so hua
jis ka mujh par koi ehsan na hua tha so hua
us ne bhi dekh liya meri wafaon ka asar
jo jafaon pe pasheman na hua tha so hua
ek wahi raaz jise dil mein chhupaya barson
shiddat-e-gham se numayan na hua tha so hua
is tawajjoh se mujhe dekh raha tha koi
main to itna kabhi hairan na hua tha so hua
hasraten KHatm huin koi tamanna na rahi
zindagi se main gurezan na hua tha so hua
aa gaya waqt ye kaisa ki ilahi tauba
jo shikar-e-gham-e-dauran na hua tha so hua
sehn-e-gulshan mein hui shoala-fishani har-su
yun kabhi jashn-e-bahaaran na hua tha so hua
dafatan mere shabistan mein wo aae 'ahmad'
dard-e-dil ka mere darman na hua tha so hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.