mere dil ki lagi wo kya jaane
mere dil ki lagi wo kya jaane
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
mere dil kī lagī vo kyā jaane
use maiñ jānūñ yā ḳhudā jaane
aise bīmār kā ilaaj hī kyā
dard ko apne jo davā jaane
baat vo kyā ki jis kā charchā ho
raaz vo kyā jo dūsrā jaane
lazzateñ us kī ham se pūchhe koī
ishq kā koī kyā mazā jaane
us se kyā ho nibāh kī ummīd
harf-e-matlab ko jo gila jaane
ab vo aglī sī baat us kī nahīñ
use kyā kar diyā ḳhudā jaane
maiñ ne dil 'lutf' us ko de hī diyā
mujhe kyā ho gayā ḳhudā jaane
mere dil ki lagi wo kya jaane
use main jaanun ya KHuda jaane
aise bimar ka ilaj hi kya
dard ko apne jo dawa jaane
baat wo kya ki jis ka charcha ho
raaz wo kya jo dusra jaane
lazzaten us ki hum se puchhe koi
ishq ka koi kya maza jaane
us se kya ho nibah ki ummid
harf-e-matlab ko jo gila jaane
ab wo agli si baat us ki nahin
use kya kar diya KHuda jaane
main ne dil 'lutf' us ko de hi diya
mujhe kya ho gaya KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.