mere dil mein bhi KHwahishat nahin
mere dil meñ bhī ḳhvāhishāt nahīñ
yaar agar tū hī mere saath nahīñ
she'r kahne kā shauq sab ko hai
shā'irī sab ke bas kī baat nahīñ
mujh ko lauTā de bas mirī duniyā
haañ mirā haq hai ye zakāt nahīñ
paar karne se Dar miyāñ kaisā
pyaar kī raah pul-sirāt nahīñ
sach batāne pe maare jā.eñge
is liye koī sach ke saath nahīñ
'ishq meñ nisbateñ nahīñ chaltīñ
husn dekhūñgā zāt-pāt nahīñ
hijr se ab nikal zarā 'afnān'
band kamre meñ kā.enāt nahīñ
mere dil mein bhi KHwahishat nahin
yar agar tu hi mere sath nahin
she'r kahne ka shauq sab ko hai
sha'iri sab ke bas ki baat nahin
mujh ko lauTa de bas meri duniya
han mera haq hai ye zakat nahin
par karne se Dar miyan kaisa
pyar ki rah pul-siraat nahin
sach batane pe mare jaenge
is liye koi sach ke sath nahin
'ishq mein nisbaten nahin chaltin
husn dekhunga zat-pat nahin
hijr se ab nikal zara 'afnan'
band kamre mein kaenat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.