mere dil mein ghar bhi banata rahta hai
mere dil meñ ghar bhī banātā rahtā hai
aur dil par nashtar bhī chalātā rahtā hai
dushman kī bātoñ meñ aa kar bhaa.ī mirā
sab se jaane kyā kyā kahtā rahtā hai
detā hai paiġhām-e-mohabbat duniyā ko
ḳhud nafrat kī aag lagātā rahtā hai
bhaa.ī mirā jo paikar thā hamdardī kā
raah meñ merī ḳhaar bichhātā rahtā hai
gum-sum us kī yaad meñ rahtā hai aksar
āñkhoñ se vo ashk bahātā rahtā hai
vo to ḳhud ik pyāsā hai shāhid 'ġhāzī'
phir bhī sab kī pyaas bujhātā rahtā hai
mere dil mein ghar bhi banata rahta hai
aur dil par nashtar bhi chalata rahta hai
dushman ki baaton mein aa kar bhai mera
sab se jaane kya kya kahta rahta hai
deta hai paigham-e-mohabbat duniya ko
KHud nafrat ki aag lagata rahta hai
bhai mera jo paikar tha hamdardi ka
rah mein meri KHar bichhata rahta hai
gum-sum us ki yaad mein rahta hai aksar
aankhon se wo ashk bahata rahta hai
wo to KHud ek pyasa hai shahid 'ghazi'
phir bhi sab ki pyas bujhata rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.