mere gham ka asar zara na hua
mere ġham kā asar zarā na huā
ye to patthar huā ḳhudā na huā
dekh lo aaj aa ke bismil ko
kaun jaane ye kal huā na huā
tark-e-ulfat kā ek hī ġham hai
ye irāda bhī der-pā na huā
tirchhī chitvan utar ga.ī dil meñ
tiir kaj thā magar ḳhatā na huā
jazba-e-shauq ho gayā dushman
mujh se iz.hār-e-mudda.ā na huā
vaqf-e-gardish huuñ sūrat-e-parkār
duur markaz kā fāsla na huā
lauh-e-hastī se kyoñ miTāte ho
maiñ kabhī harf-e-mudda.ā na huā
mere gham ka asar zara na hua
ye to patthar hua KHuda na hua
dekh lo aaj aa ke bismil ko
kaun jaane ye kal hua na hua
tark-e-ulfat ka ek hi gham hai
ye irada bhi der-pa na hua
tirchhi chitwan utar gai dil mein
tir kaj tha magar KHata na hua
jazba-e-shauq ho gaya dushman
mujh se izhaar-e-muddaa na hua
waqf-e-gardish hun surat-e-parkar
dur markaz ka fasla na hua
lauh-e-hasti se kyon miTate ho
main kabhi harf-e-muddaa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.