mere gham ki haqiqat ka zamana raazdan kyon ho
mere gham ki haqiqat ka zamana raazdan kyon ho
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
mere ġham kī haqīqat kā zamāna rāzdāñ kyoñ ho
nihāñ hai raaz jo dil meñ vo ashkoñ se ayaañ kyoñ ho
sukūn-e-mustaqil kyoñ ho nishāt-e-jāvedāñ kyoñ ho
jo dil meñ dard hai vo bā.is-e-taskīn-e-jāñ kyoñ ho
chaman meñ jis taraf dekho nasheman hī nasheman haiñ
Thikānā barq kā merī hī shāḳh-e-āshiyāñ kyoñ ho
zamīñ un kī zamāñ un kā makāñ-o-lā-makāñ un kā
to ai nāseh jabīñ-sā.ī ko qaid-e-āstāñ kyoñ ho
chaman kī pāsbānī meñ lahū ham ne bahāyā hai
hamāre sāmne darham nizām-e-gulsitāñ kyoñ ho
parastār-e-tajallī huuñ vafādār-e-mohabbat huuñ
maiñ us se kyoñ karūñ shikva vo mujh par mehrbāñ kyoñ ho
rah-e-hastī ke pech-o-ḳham se ham ai 'dard' vāqif haiñ
bhaTak jaa.e jo manzil se hamārā kārvāñ kyoñ ho
mere gham ki haqiqat ka zamana raazdan kyon ho
nihan hai raaz jo dil mein wo ashkon se ayan kyon ho
sukun-e-mustaqil kyon ho nishat-e-jawedan kyon ho
jo dil mein dard hai wo bais-e-taskin-e-jaan kyon ho
chaman mein jis taraf dekho nasheman hi nasheman hain
Thikana barq ka meri hi shaKH-e-ashiyan kyon ho
zamin un ki zaman un ka makan-o-la-makan un ka
to ai naseh jabin-sai ko qaid-e-astan kyon ho
chaman ki pasbani mein lahu hum ne bahaya hai
hamare samne darham nizam-e-gulsitan kyon ho
parastar-e-tajalli hun wafadar-e-mohabbat hun
main us se kyon karun shikwa wo mujh par mehrban kyon ho
rah-e-hasti ke pech-o-KHam se hum ai 'dard' waqif hain
bhaTak jae jo manzil se hamara karwan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.